|
Roti, kapda aur dawa
|
|
01-28-2009, 05:55 PM
Post: #1
|
|||
|
|||
|
Roti, kapda aur dawa
Roti, kapda aur dawa
Ghar rehne ko chhota sa Muft mujhe talim dila Mein bhi Musalmaan hoon wallah Pakistan ka matlab kya La Ilaha Illalah… Amrika se mang na bhik Mat kar logon ki tazhik Rok na janhoori tehrik Chhod na azadi ki rah Pakistan ka matlab hai kya La Ilaha Illalah… Khet waderon se le lo Milen luteron se le lo Mulk andheron se le lo Rahe na koi Alijah Pakistan ka matlab kya La Ilaha Illalah… Sarhad, Sindh, Baluchistan Teenon hain Panjab ki jaan Aur Bangal hai sab ki aan Aai na un ke lab par aah Pakistan ka matlab kya La Ilaha Illalah… Baat yehi hai bunyadi Ghasib ki ho barbadi Haq kehte hain haq agah Pakistan ka matlab kya La Ilaha Illalah… Pak India Forum Funny Stuff, Funny Portal |
|||
|
« Next Oldest | Next Newest »
|

Search
Member List
Calendar
Help




Thank given by









